Description
Pure Cow Desi Ghee — Riwayati Tareeqa, Asli Zayeqa
Yeh ghee purane tareeqe se banaya jata hai — halki aanch par, jaldi ke baghair. Isi wajah se woh sunehri rang, daanedaar texture aur woh khushbu aati hai jo ghar ke ghee ki hoti hai.
Na vanaspati ki milawat, na koi preservative, na artificial colour.
Why choose ours?
- Riwayati tareeqa — halki aanch, industrial high heat nahi
- Koi vanaspati ya banaspati milawat nahi
- Koi preservative ya artificial colour nahi
- Sealed glass jar — khuli ya plastic packing nahi
- Har jar par batch aur packing date
Kis kis cheez mein
- Paratha, roti aur naan par
- Halwa, sooji aur meethe pakwan mein
- Rozana ki cooking aur tarka mein
- Daal aur chawal ke upar aik chamach
Asli ghee kaise pehchanein
Asli desi ghee sardi mein daanedaar (granular) ho jata hai aur garmi mein pighal kar saaf sunehra ho jata hai — dono halatein normal hain. Jo ghee saara saal bilkul aik jaisa chikna rehta hai, us mein aksar vanaspati mili hoti hai.
Khushbu tez aur nutty honi chahiye, plastic jaisi nahi.
Product details
- Net weight: 1 kg
- Storage: Thandi khushk jagah, dhoop se door. Fridge ki zaroorat nahi.
- Har dafa sukha chamach istemaal karein
Note
Yeh aik qudrati ghiza hai, dawa nahi — hum is ke bare mein koi tibbi da’wa nahi karte.







Reviews
There are no reviews yet.