Description
Pure Raw Honey — Jaisa Chhatte Se Nikla
Yeh shehad qudrati chhatton se hasil kiya jata hai aur bohat kam process kiya jata hai — taake iska asli zayeqa, khushbu aur texture barqarar rahe. Na cheeni ki milawat, na glucose syrup, na koi artificial cheez.
Rozana chai, doodh, nashte ya baking mein qudrati meethas ke liye.
Why choose ours?
- Raw aur minimally processed
- Koi cheeni, glucose ya preservative shaamil nahi
- Sealed glass jar — plastic nahi
- Har jar par batch aur packing date
- Rozana istemaal ke liye munasib
How to use
- Neim garam paani, chai ya doodh mein
- Toast, pancakes ya desserts par
- Recipes mein cheeni ki jagah
- Seedha chamach se
Shehad jam jaye to?
Yeh kharab hone ki nishani nahi — balke purity ki nishani hai. Asli raw shehad sardi mein qudrati tor par jam kar granular ho jata hai. Jo shehad kabhi nahi jamta, aksar usay zyada heat ya processing di gayi hoti hai.
Wapas patla karne ke liye jar ko chand minute neim garam paani mein rakh dein. Ubalte paani ya microwave se gurez karein.
Product details
- Net weight: 1 kg
- Processing: Raw / minimal
- Storage: Thandi khushk jagah, dhoop se door. Fridge ki zaroorat nahi.
- Har dafa sukha chamach istemaal karein — paani jane se shehad kharab ho sakta hai
Important
Ek saal se kam umar ke bachon ko shehad na dein. Yeh ek qudrati ghiza hai, dawa nahi — hum is ke bare mein koi tibbi da’wa nahi karte.


Reviews
There are no reviews yet.